Thursday 1 December 2011

Ankhiyon ke jharokon se



Ankhiyon ke jharokon se, maine dekha jo saaware,
Tum door nazar aaye, badi door nazar aaye,
Bandh karke jharokon ko, zara baithi jo sochne,
Mann mein tumhi muskaaye, mann mein tumhi muskaaye.

Ek mann tha mere paas woh, ab khone laga hai,
Paakar tujhe, haaye mujhe, kuch hone laga hai,
Ek tere bharose pe, sab baithi hu bhool pe,
Yunhi umar guzar jaaye, tere saath guzar jaaye.

Jeeti hu tumhe dekhke, marti hu tumhi pe,
Tum ho jahan, saajan meri, duniya hai wahi pe,
Din raat dua maange, mera mann tere waaste,
Kabhi apni ummeedon ka, koi phool na murjhaye.

Main jab se tere pyaar ke, rangon mein rangi hu,
Jagte hue, soyi rahi, neendon mein jagi hu,
Mere pyaar bhare sapne, kahin koi na chheen le,
Mann sochke ghabraaye, yahi soch ke ghabraaye.

Raat kali ek khwaab mein aayi



Raat kali ek khwaab mein aayi,
Aur gale ka haar hui,
Subah ko jab hum neend se jaage,
Aankh unhi se chaar hui.

Chaahe kaho ise, meri mohabbat, Chaahe hasi mein uda do,
Yeh kya hua mujhe, mujhko khabar nahi, Ho sake tumhi batado,
Tumne kadam toh rakha zameen par, Seene mein kyun jhankaar hui.

Aankhon mein kaajal, aur laton mein, kaali ghata ka basera,
Saawali soorat, mohini moorat, Saawan rut ka savera,
Jabse yeh mukhda, dil mein khila hai, duniya meri gulzaar hui.

Yun toh haseenon ke, mahajabeenon ke, hote hai roz nazare,
Par unhe dekhke, dekha hai jab tumhe, tum lage aur bhi pyaare,
Baahon mein le loon, aisi tamanna, ek nahi, kai baar hui.

Akele hai, chale aao, jahan ho



Akele hai, chale aao, jahan ho,
Kahan awaaz de tumko, kahan ho,
Akele hai.

Tumhe hum dhoondte hai, hamein dil dhoondta hai,
Na ab manzil hai koi, na koi raasta hai.

Yeh tanhayee ka aalam, aur is par aap ka gham,
Na jeete hai, na marte hai, batao kya karein hum.


Kabhi khud pe, Kabhi haalaat pe rona aaya



Kabhi khudpe, kabhi haalaat pe rona aaya,
Baat nikli toh, har ek baat pe rona aaya.

Hum toh samje the, hum bhool gaye hai unko,
Kya hua aaj yeh kis baat pe rona aaya.

Kisliye jeete hai, kiske liye jeete hai,
Baaraha aise sawaalaat pe rona aaya.

Kaun rota hai kisi aur ke khaatir, ae dost,
Sabko apne hi kisi baat pe rona aaya.


Door rehkar na karo baat kareeb aa jao



Door rehkar na karo baat, kareeb aa jao,
Yaad reh jayegi yeh raat, kareeb aa jao.

Ek muddat se tamanna thi, tumhe choone ki,
Aaj bas mein nahi jazbaat, kareeb aa jao.

Sard jhonkon se bhadakte hai, badan mein shole,
Jaan le legi yeh barsaat, kareeb aa jao.

Is kadar humse jhijakne ki zaroorat kya hai,
Zindagi bhar ka hai ab saath, kareeb aa jao.