Raat kali ek khwaab mein aayi,
Aur gale ka haar hui,
Subah ko jab hum neend se jaage,
Aankh unhi se chaar hui.
Chaahe kaho ise, meri mohabbat, Chaahe hasi mein uda do,
Yeh kya hua mujhe, mujhko khabar nahi, Ho sake tumhi batado,
Tumne kadam toh rakha zameen par, Seene mein kyun jhankaar hui.
Aankhon mein kaajal, aur laton mein, kaali ghata ka basera,
Saawali soorat, mohini moorat, Saawan rut ka savera,
Jabse yeh mukhda, dil mein khila hai, duniya meri gulzaar hui.
Yun toh haseenon ke, mahajabeenon ke, hote hai roz nazare,
Par unhe dekhke, dekha hai jab tumhe, tum lage aur bhi pyaare,
Baahon mein le loon, aisi tamanna, ek nahi, kai baar hui.
No comments:
Post a Comment